Dikhayenge

tukron mein bikhra hua
kisi ka jigar dikhayenge
kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge

honth kaanp jaate hain
thar-tharaati hai zabaan
toote dil se nikli huii
aahon ka asar dikhayenge

kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge........

aik pahunch paata nahin
aik aur chhalak jaata hai
palkon se daaman tak ka
ashqon ka safar dikhayenge

kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge.........

kahin tasveer hai teri
kahin likhaa hai tera naam
mandir-masjid jitna paak
aik deewar-o-dar dikhayenge

kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge.........

aksar takti rehti hai
sunsaan raahon ko sanam
darwaaze par baithi huii
sapno ki nazar dikhayenge

kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge....................

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory