Kaha Tha Na

Kaha tha na...
is tarha sotay hoye chord ke mat jana
mujhe be-shak jaga dena
bata dena...

ke tumhain rasta badlna hai
mairy hud se nikalna hai

Tumhain kis baat ka dur tha ?
kia main janay nahien daita?
kahien pe qaid ker laita?

aray pagal muhabbat ki tabiyat main zaberdasti nahien hoti
jisay rasta badlna hai usay rasta badlanay se
jisay hud se nikalna ho usay hud se nikalnay se

na koi rok paya hai na koi rok paye ga

tumhaien kis baat ka dur thaaa??

mujhe jaga daitay


bus yeah yaad rakhna ae hum dum
ab in jagti Aankhoon main
khuwab tumharay hi bastay hain
in Aankhoon ke ansoonoon main
tumhary yaadoon ke deep
ban ke moom chalaktay hain


bus yaad yeah rakhna ae mairay hum dum
in Aankoon ki roshni ke bujhnay tuk
main intizar ke deep jalaon ga
mairay ghar ke rastay pe
teray qadmoon ki ahat ko sun ke hi jaon ga

apni sansoon ke thumnay tuk
apnay jism ke mernay tuk
tujhe dil main basoonga

bus tera kehlaoon ga

ke sansoon ke thamnay ki wajha bhi sirf yeahi ho gi

"is duniya main na sahi , agli duniya main to mairy ho gi"

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory