Nigaahein

Tumhee'n thhey badle hue ya meri nigaahein thee'n
tumhaari nazaro'n se lagta tha jaise meri bajaaye
tumhaare ghar mein koi aur shakhs aaya hai
tumhaare auhde ki denein tumhein mubaarak

so tum ne mera swaagat usi tarah se kiya
jo afsaraan-e-huqumat ke aitqaad mein hai
takallufan mere nazdeek aa ke baith gaye
phir ehtamaam se mausam ka zikr chhed diya

kuch uss ke baad siyaasat ki baat bhi nikli
adab par bhi koi do chaar tabasare farmaaye
magar na tum ne hamesha ki tarah ye poocha
ke waqt kaisa guzarta hai tera jaan-e-hayaat

pahaad din ki azeeyat mein kitni shiddat hai
ujaad raat ki tanhaayee kya qayaamat hai
shabo'n ki sust ravi ka tujhe bhi shikwa hai
gham-e-firaaq ke qisse nishaat-e-vasl ka ziqr
ravaayatein hi sahi koi baat to karte.

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory