Dhota hun jab main pine ko us simtan k paon
rakhta hai zid se khench kar bahar lagan k paon

di sadagi se jan parun kohkan k paon
hai hat kyon na tut gae pirazan k paon

bhage the ham bahut so usi ki saza hai ye
hokar asir dabte hain rahzan k paon

marham ki justaju mein phira hun jo dur-dur
tan se siwa figar hain is khasta tan k paon

Allah re zauq-e-dashtanwardi k baade-marg
hilte hain khud-ba-khud mere andar kafan k paon

hai josh-e-gul bahar mein yan tak k har taraf
urte hue ulajhte hain murg-e-chaman k paon

shab ko kisi k khwab mein aya na ho kahin
dukhte hain aj us but-e-nazukbadan k paon

'Ghalib' mere kalam mein kyon kar maza na ho
pita hun khusro-e-shirinsukhan k paon

By Mirza Ghalib

Click Here To Read More Poetry Of Mirza Ghalib

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory