Kehna Tha

Woh Kuch Suntaa To Main Kehta, Mujhy Kuch Aur Kehna Tha
Woh Pal Bhar Ko Jo Ruk Jaata, Mujhy Kuch Aur Kehna Tha

Ghalat Fehmi Ny Baaton Ko Barhaa Daala Younhi Warna
Kaha Kuch Tha, Woh Kuch Samjha, Mujhy Kuch Aur Kehna Tha

Kamaai Zindagi Bhar Ki Ussi K Naam Kyun Kar Di
Mujhy Kuch Aur Karna Tha, Mujhy Kuch Aur Khena Tha

Kahan Uss Ny Suni, Meri Suni Bhi An-Suni Kar Di
Ussay Maloom Tha Itna, Mujhy Kuch Aur Kehna Tha

Mery Dil Main Jo Darr Aaya, Kohi Mujh Main Bhi Der Aaya
Wahien Ek Raabta Toota, Mujhy Kuch Aur Khena Tha

Rawaan Tha Pyar Nas Nas Main, Bohat Kurbat Thi Aapas Main
Ussay Kuch Aur Sun-nanaa Tha, Mujhy Kuch Aur Khena Tha

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory