Showing posts with label John Elia Poetry. Show all posts
Showing posts with label John Elia Poetry. Show all posts

"Beqarari Si Beqarari Hai"
By John Elia

beqarai si beqarari hai

wasl hai aur firaaq taari hai

jo guzaari na ja saki hum se
hum ne woh zindagi guzari hai

us se kahiyo kay dil ki galioN meiN
raat din teri intezari hai

ik mehak samt-e-jaaN se aai thi
maiN yeh samjha teri sawari hai

haadisoN ka hisab hai apna
warna har aan sab ki baari hai

bin tumhare kabhi nahiN aai
kya meri neend bhi tumhari hai

nigharay kya hue keh logoN par
apna saaya bhi ab to bhari hai

khush rahe tu ke zindagi apni
umr bhar ki ummeed wari hai

aap meiN kaisay aauN mein tujh bin
saaNs jo chal rahi hai aari hai

hijr ho ya wisal ho kuchh ho
hum haiN aur us ki yaadgari hai


Very nice poetry by great poet john elia, want to read more click here

John Elia Poetry

Classical Words By John Elia


Iss Qaddar Zorr Say Tamachay Parray Hain...

Daikh Tau Surkhi Meray Rukhsaar Ki

John Elia



Classical Poetry by John Elia

John Elia


Classical Poetry By John Elia

"Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiyaa"

By John Elia


Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiyaa

Khud Ko Halaak Kar Liyaa Khud Ko Fidaa Nahiin Kiyaa

Kaise Kahen Ke Tujh Ko Bhii Hamase Hai Vaastaa Koi
Tuune To Hamase Aaj Tak Koi Gilaa Nahiin Kiyaa

Tuu Bhii Kisii Ke Baab Men Ahad-Shikan Ho Gaaliban
Main Ne Bhii Ek Shakhs Kaa Qarz Adaa Nahiin Kiyaa

Jo Bhii Ho Tum Pe Mautariz Us Ko Yahii Javaab Do
Aap Bahot Shariif Hain Aap Ne Kyaa Nahiin Kiyaa

Jis Ko Bhii Shekh-O-Shaah Ne Hukm-E-Khudaa Diyaa Qaraar
Hamane Nahiin Kiyaa Vo Kaam Haan Baa-Khudaa Nahiin Kiyaa

Nisbat-E-Ilm Hai Bahot Haakim-E-Vaqt Ko Aziiz
Us Ne To Kaar-E-Jehl Bhii Be-Ulaamaa Nahiin Kiyaa




Click Here and Read More John Elia Classical Poetry


"Akhlaaq na Bartenge Mudaaraa Na Karenge"

By John Elia


Akhlaaq na Bartenge Mudaaraa Na Karenge
Ab Hm Kisii Shakhs Kii Paravaah Na Karenge

Kuchh Log Ka_Ii Lafz Galat Bol Rahe Hain
Isalaah Magar Ham Bhii Ab Isalaah Na Karenge

Kam_Go_Ii Ke Ek Vasf-E-Himaaqat Hai Bahar To
Kam_Go_Ii Ko Apanaayenge Chahakaa Na Karenge

Ab Sahal Pasandii Ko Banaayenge Vatiiraa
Taa Der Kisii Baab Men Sochaa Na Karenge

Gussaa Bhii Hai Tahaziib-E-Ta’lluq Kaa Talabagaar
Ham Chhup Hain Bahare Baithe Hain Gussaa Na Karenge

Kal Raat Bahut Guur Kiyaa Hai So Ham Ai "John"
Tay Kar Ke Uthe Hain Ke Tamannaa Na Karenge



Click Here For More Classical John Elia Poetry And Poems

John Elia Urdu Poetry


"Ab Junoo Kab Kisi KE Bas Mein Hai"

Classical Poetry of John Elia


John Elia Poetry

"Aagay Aagay Sab Khooni Chadar Aur Khooni Parcham Niklay"



"Har Bar Tujhse Milte Waqt"

"Har Bar Tujhse Milte Waqt"
By John Elia


Ajb Ik Shor Sa Bapa Hai Kahin

"Ajb Ik Shor Sa Bapa Hai Kahin"

By John Elia



Ajb Ik Shor Sa Bapa Hai Kahin,

Koi Khamosh Ho Gaya Hai Kahin,

Hai Kuch Aisa K Jaise Ye Sab Kuch,
Ab Se Pehle Bhi Ho Chuka Hai Kahin,

Jo Yahan Se Kahin Na Jata Tha,
Wo Yahan Se Chala Gaya Hai Kahin,

Tujh Ko Kiya Ho Gaya K Chezon Ko ,
Kahin Rakhta Hai Dhondhta Hai Kahin,

Tu Mujhe Dhondh Main Tujhe Dhondhon,
Koi Hum Main Se Reh Gaya Hai Kahin,

Ise Kamre Se Ho K Koi Wida,
Ise Kamre Main Chup Gaya Hai Kahin




Click Here For More John Elia Poetry

Classical John Elia Poetry


"Khud Se Ham Ik Nafas Hile Bhii Kahaa"
By John Elia

Khud Se Ham Ik Nafas Hile Bhii Kahaa

Us Ko Dhundhen To Vo Mile Bhii Kahaa

Khemaa-Khemaa Guzaar Le Ye
Shab
Subah-Dam Ye Qaafle Bhii Kahaa

Ab Ta'mul Na Kar Dil-E-Khud_Kaam

Ruuth Le Phir Ye Sil_Sile Bhii Kahaa


Aao Aapas Main Kuchh Gile Kar Le

Varnaa Yuu.N Hai Ke Phir Gile Bhii Kahaa


Khush Ho Siine Kii In Kharaashon Par

Phir Tanaffus Ke Ye Sile Bhii Kahaa


Click Here For More Classical Poetry of John Elia

John Elia Poetry

Nice Poetry By John Elia






"Main Shayad Tum Ko Bhoolnay Wala Ho"

Nice Poetry By John Elia

John Elia was a famous but sensitive poet.
He did a lot of work but he didn’t agree for publication of his work that’s why his first poetry was published at the age of 60.
He came from India after partition. Here are some bestGhazals and Nazams” out of his marvelous poetry

Silsila Tamanna Ka

"Silsila Tamanna Ka"





"Hum To Jaisey Wahaan Key They Hi Nahin"


Hum To Jaisey Wahaan Key They Hi Nahin
Dhoop They Sayaban Key They Hi Nahin

Raastey Karavan Key Sath Rahey
Marhaley Karavan Key They Hi Nahin

Ab Hamara Makaan Kis Kaa Hai
Hum To Apaney Makaan Key They Hi Nahin

In Ko Aandhi Main Hi Bikharna Tha
Baal-O-Par Yahan Key They Hi Nahin

Us Gali Ney Yeh Sun Ke Saber Kiya
Janey Waley Yahan Key They Hi Nahin

Ho Teri Khak-E-Astan Pey Salaam
Ham Terey Astan Key They Hi Nahin


Poetry of John Elia




Want To Read More Poetry of John Elia Click Here

"Mein Shayad Tum Ko Yuksar Bhoolnay Wala Ho"

Classical Poetry of John Elia Click Here For More



Mein Shayad Tum Ko Yuksar Bhoolnay Wala Ho
shaid, jaan e jaan shaid
keh aab tum mujh ko pehlay say ziada yaad aati hoo

hai dil ghamgeen, bohat ghamgeen
keh aab tum yaad dil daraana aati hoo

shameem door mandah hoo
bohat runjeeda hoo mujh say
magar phir bhi
mashaam e jaan mein mairay aashtee mandana aati hoo
judai mein bala ka iltafaat e meharmana hai
qayamat ke khabar geeri hai
bay'had naaz bardaari ka aalam hai

tumharay rung mujh mein aur gehray hotay jaatay hain
mein darta hoon
mairay ehsaas kay iss khawb ka anjaam kaya hoo ga!
Yeah mairay androon e zaat kay taraaj gar,
jazboon kay bairee waqat ke sazish na hoo koye

tumahray iss tarhaan har lamha yaad aanay say
dil sehma howa sa hai
tu phir tum kam hee yaad aoo

mata e dil, mata e jaan tu phir tum kam hee yaad aoo
bohat kuch beh gaya hai sail e mah o saal mein aab tuk
sabhi kuch tu na beh jaye
keh mairay paas reh bhi kaya gay ahai
kuch tu reh jaye

By John Elia


"Baras Guzaray Tumhain Soye Howay"

By John Elia


Baras Guzaray Tumhain Soye Howay
Uth Jao, Sunti Ho, Aab Uth Jaoo
Mein Aya Hoon
Mein Andazay Say Samjha Hoon
Yahaan Soye Hoi Hoo Tum
Yahaan, Roo' E Zameen Kay Iss Muqaam E Asmaani Tar Ke Hud Mein
Baad Haa 'E Tund Nay
Mairay Liyeah Bus Ik Andaza He Chora Hai


Click Here and Read More Classical Poetry of John Elia

"Apni Shayari Ka Jitna Munkir MaiN HooN"


Apni Shayari Ka Jitna Munkir MaiN HooN
Utna Munkir Mera Koi Bad Tareen Dushman Bhi Na Hoga

Kabhi Kabhi To Mughey Apni Shayeri Ishte'aal Angiez Had Tak Buri, Bey Tuki Aur Badd Az Waqt Lagti Hai...
Is Liye Ab Tak Mera Koi Majmooa Shaye Nahi Howa Aur Jab Tak Khuda Hi Shaya Nahi Karaye Ga Uss Waqt Tak Shaya Hoga Bhi

By "John Elia"



Click Here And Read More Classical Poetry of "John Elia"

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory