Ghum Sum Howa Awaz Ka Dariya Tha Wo Ek Shakhs
Pathar bhi naheen ab wo sitara tha jo ik shakhs

Shayd wo bhi koi harf-e-wafa dhoond raha tha
Chehroon ko baray ghor se parta the wo ik shaks

Sehra kee tarah dair se piyasa tha wo shayd
Badal kee tarah toot key barsa tha wo ik shakhs

Ay taiz hawa koi khabar us key janoon kee!
Tanha safr-e-shouq pe nikla tha jo ik shakhs

Ab akhree sitroon main kaheen naam hai us ka
Ahbaba kee feh-rist main pehla tha jo ik shakhs

Hathoon main chhupay hoay phirta hai kai zakham
Sheeshay key khilonon se behilta tha jo ik shakhs

Mur mur key isay dekhna chahain meri akhain
Kuchh door mujay chhornay aaya tha jo ik shakhs

Har zehn main kuchh naqsh-e-wafa chhor ghia hai
Kehnay ko bharay shehr main tanha tha jo ik shakhs

Munkar hai wohee ab meri pehchan ka MOHSIN
Aksar mujay khat khoon se likhta tha jo ik shakhs


By Mohsin Naqvi


Want to Read More Classical Poetry by Mohsin Click Here

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory