"Mein Shayad Tum Ko Yuksar Bhoolnay Wala Ho"

Classical Poetry of John Elia Click Here For More



Mein Shayad Tum Ko Yuksar Bhoolnay Wala Ho
shaid, jaan e jaan shaid
keh aab tum mujh ko pehlay say ziada yaad aati hoo

hai dil ghamgeen, bohat ghamgeen
keh aab tum yaad dil daraana aati hoo

shameem door mandah hoo
bohat runjeeda hoo mujh say
magar phir bhi
mashaam e jaan mein mairay aashtee mandana aati hoo
judai mein bala ka iltafaat e meharmana hai
qayamat ke khabar geeri hai
bay'had naaz bardaari ka aalam hai

tumharay rung mujh mein aur gehray hotay jaatay hain
mein darta hoon
mairay ehsaas kay iss khawb ka anjaam kaya hoo ga!
Yeah mairay androon e zaat kay taraaj gar,
jazboon kay bairee waqat ke sazish na hoo koye

tumahray iss tarhaan har lamha yaad aanay say
dil sehma howa sa hai
tu phir tum kam hee yaad aoo

mata e dil, mata e jaan tu phir tum kam hee yaad aoo
bohat kuch beh gaya hai sail e mah o saal mein aab tuk
sabhi kuch tu na beh jaye
keh mairay paas reh bhi kaya gay ahai
kuch tu reh jaye

By John Elia


1 comments:

Alifseye.com said...

Thanks a lot for sharing such a nice post. You are working on Urdu shayari which has a great impact not only in subcontinent but across the world as well and Jaun Elia Poetry is one of the tools to promote Urdu.

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory