Classical Poetry

Muj ko us ki zaat se koi gilla nah tha
garchey zuban ka talkh tha dil ka bura nah tha

jo jhuk gaya khara hai woh aandhi k bad bhi
tota hai woh shajar jo zara bhi jhuka nah tha

woh chashni thi jhoot main sub ko bhalli lagi
such bat aisi thalkh thi jis main maza nah tha

jiski uraan dekh kar sub dungg reh gaey
be-baal-o-par laga tha jub tak urra nah tha

pani ki bond bond ko tarsa tha her bashar
kese main maan loon ye azab-e-Khuda nah tha

mehdood kar gaya hai mujey meri zaat main
samja tha jis ko main k woh muj se juda nah tha

Anas kistarah se manaoo ga abb ussey
rootha hai muj se woh jo kabi rooth-ta nah tha


0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory