Pari

Woh pari jo meelon door hai
jiski yaad se dil noor noor hai
jaanTa hoon har soorat woh gair hai
Phir bhi uski aarzoo zaroor hai

mila anjaam na kahani ko
barbaad kar baitha jawaani ko
seene se lagaye pirTa hoon
yaar ki aakhri nishaani ko

woh na hoti to main kahan hota
zaRra hota na aasmaa(n) hota
wohi duniyadaari ke jhagde hote
wohi be-rozgaari ka samma(n) hota

ae kaash ke woh ba-wafa hota
yahan makaam kuch judaa hota
main ro deta hoon is khayaal par
woh jo meri hoti to kya hota

uske gham mein khoye rehte hain
khuli aankhon se soye rehte hain
girte hain palkon se aansoo aise
ke apna daaman bhogoye rehte hain

Jab kabhi khud ko tanha paata hoon
ik tasveer jehan mein banaata hoon
kar ke band bheegi palkon ko
uski yaadon mein doob jaata hoon

kaise keh doon ke woh paraaya hai
uSi ne to jeena sikhaaya hai
hai uSi ke naam se ye shayri
ye "AsHeR" usi ne banaya hai

Woh pari to meelon door hai
haan uski aarzoo zaroor hai..........

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory