Tum Kia Badlay

Tum kiya baddley waqt hi baddal giya
raqeeb chaal apni phir essi chal giya

Yeh tu ik roz hona hi tha jo sath mere hoa
mein samjh rah tha abke waqt bura tal giya

Uss ki annaa hi uss ko le doobi akher kaar
rassi jall gai phir bhi yaaro nah bal giya

Socha tha ab nah kabhi hum millein gay usse
aey woh saamne tu millne ko dil machal giya

Humraaz humara uska bhi bahi khawah nikla
hum se mill kar woh seedha uski mehfal giya

Garcheh aane ka wahda kiya tha usne magar
aaj ka din bhi uski rah takte takte dhal giya

Baat karne ke anaz se unke yaqeen ho chala tha
keh akher kaar hum ko ghohr-e-maqsood mil giya

Lakeer ko kab tak peet te rhein hum Annush
dass kar saanp tu hamein door kahein nikal giya.

Read More Sad Poetry

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory