"Ibtada-e-Ishq Hai Rota Hai Kya"
Ibtada-e-Ishq Hai Rota Hai Kya
Aage aage dekhiye hota hai kya.
Qafile mein subah ke ek shor hai,
Yaani ghafil ham chale sota hai kya.
Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin,
Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya.
Yeh nishan-e-ishq hain jate nahin,
Daagh chhati ke abas dhota hai kya.
Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz,
Mir isko raigan khota hai kya.
Click Here And Read More Classical Poetry of Meer Taqi Meer
1 comments:
nice poetry
Post a Comment