Showing posts with label Faraz Poetry. Show all posts
Showing posts with label Faraz Poetry. Show all posts

"Hum To Razi Hai Wo Jis Haal Mein Jesaa Rakhe"
By Ahmed Faraz


Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey,
Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhey

Umer bhar kaun nibata hai taluk itna
Ae meri jan ke dushman tujhe allah rakhe,

Humko acha nahin lagta koi humnam tera,
Koi tujhsa ho tu phir nam be tujhsa rakhey.

Dil b pagal hai us shaks se wabasta hai,
Jo kise aur ka na hone de na apna rakhey

Kam nahin tamam e ibadat bhi to hirs-e-zar se,
Fuqr to wo hai ke deen na duniya rakhey.

Hans na itna bhi faqeeron ke akelepan par,
Khuda meri tara tujh ko b tanha rakhe

Yeh qana at hai, ita-att hai ke chaht hai Faraz
Hum to razi hai wo jis haal mein jesaa rakhe

Uski Ankh0n K0 Kabhi Gh0r Se Dekha Hy Faraz
S0nay Wal0n Ki Tarhan, Jaagnay Wal0n Jaysi




Click Here And Read More Classical Poetry Of Ahmed Faraz

Tujh se bichad ke hum bhi muqaddar ke ho gaye
Phir jou bhi dar mila usi dar ke hou gaye


Aey yaad e yaar tujh se karein kya shikayatein
Aye dard e hijr hum bhi tu pathar ke hou gaye


Samjha rahey the mujhko sabhi naasehan e shehar
Phir rafta rafta khud usi kaafir ke hou gaye


Rotey hou ek jazeera e jaan ko Faraz Tum
Dekho tu kitney shehar samandar ke hou gaye

By Ahmed Faraz


Click Here And Read More Urdu Poetry And Ghazals

Aankh Se Duur Na Ho Dil Se Utar Jaayega
waqt ka kya hai guzarata hai guzar jaayega

itna maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apani
tu kabhi Khud ko bhi deikheygaa to Dar jaayega

tum sar-e-raah-e-wafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayega


zindagi terii ataa hai to ye jaanevaalay
teri baKhshiish teri dahaliz pe dhar jaayega


Doobate Doobate kashti to ochhaalaa dey doon
main nahin koi to saahil pe utar jaayega

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka 'Faraz'
zaalim ab ke bhi na royega to mar jaayega



Click Here To Read More Classical Poetry of Ahmed Faraz

Aashiqi Be-Dili Se Mushkil Hai

Aashiqi be-dili se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai

ishq aaGaaz hee se mushkil hai
sabr karanaa abhi se mushkil hai

ham ?? aasaan hain aur hamaare liye
dushmani dosti se mushkil hai

jis ko sab be-vafaa samajhate hon
bewafaai usii se mushkil hai

ek do dosray se sahel na jaan
har koi har kisi se mushkil hai

tu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
vaapasi us gali se mushkil hai


Want to Read More Classical Poetry of Ahmed Faraz Click Here

Meri Khushi Ki Mudat Itni He

Meri Khushi Ki Mudat Itni He Hai Faraz

Guzar Jati He Mere Muskurani Se Pahle

Is Dafa To Barishein Rukti Nahin Faraz

Hum Ne Ansu Kia Piye K Saray Mosam Ro Paray

By Ahmed Faraz

Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phul Jhharte Hain
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Sunaa Hai Raat Use Chaand Taktaa Rahtaa Hai
Sitaare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain

By Ahmed Faraz

Heart touching words of great poet Ahmed Faraz



Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samjthe Ho Faraz


Dost Hota Nahi Har Haath Milanay Waala



By: Ahmed Faraz

Aaj wo bhi ro para meri bebasi dekh kar" Faraz"

Qasam jis ne khai thi mujhay barbad karnay ki...



Read More Poetry of Ahmed Faraz Click Here

"Gham-e-Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi"
By Ahmed Faraz

Gham_e_Hayat ka jhagra mita raha hai koi

chalay aao k duniya se ja raha hai koi

azal se keh do k ruk jaye do ghari
suna hai aanay ka wada nibha raha hai koi

wo is naaz se bethay hain lash k paas
jessay roothay hue ko mana raha koi

palat kar na aa jaye phir sans nabzon mein
itnay haseen hathon se mayyat saja raha hai koi


One of the Classical Poetry of Ahmed Faraz

"Zaroorat"torr deti hai "gharoor_e_beniazi ko Faraz"

na hoti koi majboori to har banda "wafa karta"





Click Here And Get More Collection of Ahmed Faraz Poetry

By: Ahmed Faraz

"Hum se poochni hai to sitaron ki baat poocho Faraz"

"khawabon ki baat to wo kartay hain jinhein neend aati ho"

Kis baat pe rootha hai pata ho to manaoon Faraz"

wo rooth to jata hai shikayat nahi karta.....!





Soft words by Ahmed Faraz Poetry

Tum is sheher k khuloos se waqif nahi Faraz"

"Ye to Mohsin ko bhi sarr_e_Aam saza detay hain





Click Here And Read More Ahmed Faraz Poetry

Hum ne chaha tha ik aisay shakhs ko Faraz"...

jo ayenay se bhi nazuk tha magar tha pathar ka...


By Ahmed Faraz

Wo muj se bichar kar ab tak roya nahi Faraz"

koi to hai hamdard jo ussay ronay nahi deta...



By Ahmed Faraz

Teri talab mein jala dalay aashiyanay tak Faraz'

kahan rahun main tere dil mein ghar bnanay tak...?





Want To Read More These Types of Poetry Click Here

Wo kitna meharban tha k hazaron ghum de gaya Faraz'

hum kine khud gharz nikle kuch na de sake pyar k siwa...




Click Here for More Poetry Stuff of Ahmed Faraz

Ye soch kr palkon mein chupa leta hoon aansu Faraz'

gir kar ye meri aankh se beghar na ho jayen




Read More Poetry of Ahmed Faraz Click Here

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory