Showing posts with label Top Selected Poetry Stuff. Show all posts
Showing posts with label Top Selected Poetry Stuff. Show all posts

Eh pehum talkh klami si rahi kia
mohabt zeher kha ker ai thi kia ?

muje ab tm se der lagne laga hai
tmhein muj se mohabt ho gai kia?

shikast-e-aetmad-e-zaat k waqt..
qayyamat aa rahi thi, aa gai kia..?

muje shikwa nahi,bus pochna hai
ye tm hansti ho apni hi hansi kia?

humein shikwa nahi aik dosre se...
manana chahie is per khushi kia...?

pade hain ik goshe main guma'n k
bhala hum kia,humari zindagi kia..?

main ab her shakhs se ukta chuka ho
fakt kuch dost hain ,or dost bhi kia..?



John Elia Poetry: Guzashta ehd guzarney main he nahi ata



Guzashta ehd guzarney main he nahi ata
ye hadisa bhi likho mojzoo k khaney main

jo rud howay they is jahan main kai saal pehley
wo log hum pay musalat hain is zamaney main



John Elia Poetry

Here is the one of the my favorite heart touching words by John Elia

Charah Saazon Ki charah saazi se

Dard badnaam Tho nahe Hoga

Ha, dawa do magar yae batla do
Muje Aaraam Tho Nahe Hoga




John Elia Poetry

Here is Some Classical Poetry of John Elia


Tum haqiqat nahi ho hasrat ho,

jo miley khwaab main vo daulat ho.

main tumharey hi dum sey zindaa hoon,
mar hi jaoun jo tumsey fursat ho.

tum ho kushboo key khwaab ki khushbu,
aur itnee hi be-murawat ho.

kis tarah choodh dun tumhey jaana,
tum meri zindagi ki aadat ho.

kis liyen daikhti hoo aainaa,
tum tou khud sey bhi khobsurat ho.

dastaan khatm honey waali hai,
tum meri aakhri mohabbat ho.

Kuchh ajab shaan se logo'n mai rahaa karate thai
ham Khafaa rah ke bhii aapas mai milaa karate thai

itnii tahaziib rah-o-rasm to baaqii thii ki wo
laakh ranjish sahii vaadaa to vafaa karate thai

us ne puchha tha ka_ii baar magar kyaa kahiye
ham mizaajan hii pareshaan rahaa karate thai

Khatm thaa ham pe mohabbat ka tamaasha g...oya
ruuh aur jism ko har roz judaa karate thai

zindagii ham se tere naaz uThaaye na gaye
saaNs lene kii faqat rasm adaa karate thai

ham baras parhte thai ' apanii hii tanhaa_ii par
abr kii tarrha kisii dar se uThaa karate thai


Click Here For More Classical Poetry Stuff

Aah ko chahiye ik umr asar hone tak
kaun jita hai teri zulf k sar hone tak

dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang
dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak

ashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak

ham ne mana k taaful na karoge lekin
khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak


Read More Classical Poets Poetry Stuff Click Here

Kuch Waqt Purana Yaad Aaya

Kal Jheel Kinarey Behtay Howe Kuch Waqt Purana Yaad Aaya

Hawa Jo Chho Kar Guzri Mujhe Tera Zulf Lehrana Yaad Aaya

Meri Aankh Say Aansu Chalak Pare Dil Ki Dharkan Thyhar Gai

Wo Baat Baat Me Hasna Tera Aur Bey Baat Ka Rona Yaad Aaya

Is JHeel Ke Pani Ko Mene Jab Haath Me Lekar Choma To

Is Jheel Ki Mehki Khusbo Me Tera Tera Haath Bhigona Yaad Aaya

Teri Har Aadat Teri har Khuwaish Mujhe Yaad Hai Imaan Say

Aur Tera Imaan Itna Khasta Tha Tujh Ko Na Dewaana Yaad Aaya


Read More Classical Poetry Stuff

Mera Zikar Na Karna

Dukh Dard Kay Maroon Say Mera Zikar Na Karna
Ghar Jaon To Yaroon Say Mera Zikar Na Karna

Woh Zabt Na Kar Paen Gay Ankho Kay Samander
Tum Rah Guzaroon Say Mera Zikar Na Karna

Pholon Kay Nashaiman May Raha Hoon May Sada Say
Daikho Kabhi Kharon Say Mera Zikar Na Karna

Woh Meray Hal May Bay Sakhta Na Ro Dain
Is Bar Bharoon Say Mera Zikar Na Karna

Shayad Yai Andhaira Hi Mujhay Rah Dikhay
Tum Chand Sitaroon Say Mera Zikar Na Karna

Kaheen Woh Meri Kahani Ko Ghalt Rang Na Dai Dain
Afsana Nigaroon Say Mera Zikar Na Karna

Gehrahi May Layjain Gay Tum Ko Bhi Baha Ker
Darya Kay Kinaroon Say Mera Zikar Na Karna

Woh Shaks Melay To Usay Her Bat Batana
Tum Sirf Isharoon Say Mera Zikar Na Karna



Read More Classical Poetry Click Here


Too Kia Hai

Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke ‘Too Kya Hai’ ?
Tumheen Kaho Ke Yeh Andaaz-E-Guftgoo Kya Hai ?

Na Shole Mein Yeh Karishma Na Barq Mein Yeh Ada
Koee Batao Ki Woh Shokh-E-Tund_Khoo Kya Hai ?

Yeh Rashk Hai Ki Wo Hota Hai Ham_Sukhan Tumse
Wagarna Khauf-E-Bad_Aamozi-E-Adoo Kya Hai ?


Read More Classical Poetry Click Here


Chiragh e shama daita reha

Woh skeks ek pel k liye bhi meri geliyo say na guzra
Sari umar jis ko ma apna pata daita reha

Hesret rehi ke kash woh ek pel hi mukura day
Sari umar jis ko ma ro ro k sada daita reha

Hesret rehi ke kash woh bedua hi day day
Sari umar jis ko ma dil say dua deta reha

Shaid woh sheks andhero ka tha pujari
Sari umar jis ko ma chiragh e shama daita reha.

Pass reh ker Juda si lagti hai

Pass reh ker Juda si lagti hai
Zindagi Aab Bewafa Si Lgti Hai

Mein Tumhare Beghair Bhi Jee Loon Ga
Ye Dua Bud,Dua si Lagti Hai

Naam Is ka Likha Hai Ankhon Par
Aansoon ki Khata Si lagti hai

Woh Abhi Is Taraf Se Guzra Hai
Ye Zameen Aasman Si Lgti Hai

PYAAR Karna Bhi Jurm Hai Shaid
Aaj DUNYA khafa Si Lagti Hai

Classical Poetry

Main aisi mohabbat karta hoon

Main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan peh bayth k jati ho
main waheen pe betha rehta hoon
us cheez ko dekhtaa rehta hoon
main aisi mohabbt karta hoon

tum jis se huns k milti ho
main us ko dost banata hoon
tum jis rustay par chalti ho
main us say aata jata hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jin ko daykhti rehti ho
wo khuwab....sarhanay rakhta hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jahan bhi bayth k jati ho
jis cheez ko hath lagati ho
main waheen peh baytha rehta hoon
us jaga ko Dekhtaa rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaa a to
main pehroon us ko sochta hoon
main...aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jin logon main tum rehti ho
tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo...tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

her moqay par her manzar main
main sath tumharay rehta hoon
main chashm-e-tasavvur main aksar
bus tum ko dekhta rehta hoon
bus tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

Classical Poetry

Tum Kia Badlay

Tum kiya baddley waqt hi baddal giya
raqeeb chaal apni phir essi chal giya

Yeh tu ik roz hona hi tha jo sath mere hoa
mein samjh rah tha abke waqt bura tal giya

Uss ki annaa hi uss ko le doobi akher kaar
rassi jall gai phir bhi yaaro nah bal giya

Socha tha ab nah kabhi hum millein gay usse
aey woh saamne tu millne ko dil machal giya

Humraaz humara uska bhi bahi khawah nikla
hum se mill kar woh seedha uski mehfal giya

Garcheh aane ka wahda kiya tha usne magar
aaj ka din bhi uski rah takte takte dhal giya

Baat karne ke anaz se unke yaqeen ho chala tha
keh akher kaar hum ko ghohr-e-maqsood mil giya

Lakeer ko kab tak peet te rhein hum Annush
dass kar saanp tu hamein door kahein nikal giya.

Read More Sad Poetry

Moj-e-saba ho jaise

Yoon na mil mujh se khafa ho jaise
sath chal moj-e-saba ho jaise

log yoon dekh ke hans dete hain
tum mujhe bhool gaye ho jaise

ishq ko shirk ki hadd tak na barha
yoon na mil humse khuda ho jaise

maut bhi ayi tou iss naz k sath
mujh pe ehsaan kiya ho jaise

aise anjaan bane bethe ho
tumko kuch pata bhi na ho jaise

hicchkiyan raat ko ati hi rahien
tu ne phir yaad kiya ho jaise

zindagi beet rahi hai yoonhi
ik be-jurm saza ho jaise....!!!


Read More Classical Poetry

Asher

kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain
naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain

jab woh the....!! talaash-e-zindagi bhi thi
ab to maut ke thikaane dhoondte hain..!!

kal khud hi apni mehfil se nikaala tha..!!
aaj hue se deewaane dhoondte hain...!!

musaafir be-khabar hain teri aankhon se
tere shahar mein maikhaane dhoondte hain

tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
hum to rone ke bahaane dhoondte hain...!!

unki aankhon ko youn dekho na "Asher"
naye teer hain...!! nishaane dhoondte hain

Kehna Tha

Woh Kuch Suntaa To Main Kehta, Mujhy Kuch Aur Kehna Tha
Woh Pal Bhar Ko Jo Ruk Jaata, Mujhy Kuch Aur Kehna Tha

Ghalat Fehmi Ny Baaton Ko Barhaa Daala Younhi Warna
Kaha Kuch Tha, Woh Kuch Samjha, Mujhy Kuch Aur Kehna Tha

Kamaai Zindagi Bhar Ki Ussi K Naam Kyun Kar Di
Mujhy Kuch Aur Karna Tha, Mujhy Kuch Aur Khena Tha

Kahan Uss Ny Suni, Meri Suni Bhi An-Suni Kar Di
Ussay Maloom Tha Itna, Mujhy Kuch Aur Kehna Tha

Mery Dil Main Jo Darr Aaya, Kohi Mujh Main Bhi Der Aaya
Wahien Ek Raabta Toota, Mujhy Kuch Aur Khena Tha

Rawaan Tha Pyar Nas Nas Main, Bohat Kurbat Thi Aapas Main
Ussay Kuch Aur Sun-nanaa Tha, Mujhy Kuch Aur Khena Tha

By: Ahmed Faraz

Aaj wo bhi ro para meri bebasi dekh kar" Faraz"

Qasam jis ne khai thi mujhay barbad karnay ki...



Read More Poetry of Ahmed Faraz Click Here

Tum ne to keh diya

Tum ne to keh diya k mohabbat nahi milli...
hamain to ye bhi kehne ki mohlat nahi milli...

neendon k des jatay koi khawab dhoondhtay....
pr diya jalanay se hi fursat nahi milliii....

us ko to khair shehar k logon ka khauf tha.....
aur mujh ko mere ghar se ijazat nahi millii.....

phir ikhtaf_e_rae ki surat nikal pari....
apni to yahan kisi se bhi aadat nahi millli....

Dabi dabi si

Dabi dabi si wo muskurahat labon pe apne saja saja k
wo narm lahje main baat karna ada se nazrain jhuka k

wo aankh teri shararati si wo zulf mathay pe nachti si
nazar hatay na aik pal bhi main thak gaya hoon hata hata k

wo tera hathon ki unglion ko mila k zulfon main kho sa jana
haya ko chehre pe phir sajana phool sa chahra khila khila k

wo hath hooron k ghar hoon jaise wo paon pariyon k par hoon jaise
nahi hai teri misaal jaana main thak gaya hoon bata bata k....!!!
 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory