Showing posts with label Ibn-e-Insha Poetry. Show all posts
Showing posts with label Ibn-e-Insha Poetry. Show all posts

"Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho"

By Ibn-e-Insha


Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho
Insha Saahab Naahaq Jii Ko Vahshat Men Uljhaate Ho

Dil Kii Baat Chhupaanii Mushkil,Lekin Khuub Chhupaate Ho
Ban Men Daanaa,Sha’hr Ke Andar Diivane Kehlaate Ho

Bekal Bekal Rahte Ho, Par Mehfil Ke Aadaab Ke Saath
Aankh Churaa Kar Dekh Bhii Lete Ho, Bhole Bhii Ban Jaate Ho

Peet Men Aise Laakh Jatan Hain, Lekin Ek Din Sab Nakaam
Aap Jahaan Men Rusvaa Hoge, Vaaz Hamen Farmaate Ho

Ham se naam junuun kaa qaayam, ham se dasht kii aabaadii
ham se dard ka shikvaa karte, ham ko zakhm dikhaate ho?



For More Poetry of Ibn-e-Insha Click Here

"Is Shaher Mein Jii Kaa Lagana Kya"
By Ibn-e-Insha

Insha ji Utho ! ab kooch karo, is shahar mein ji kaa lagana kyaa

vahshii ko sukuuN se kyaa matlab, jogii kaa nagar meN Thikaanaa kyaa

is dil ke dariidaa-daaman ko dekho to sahii, socho to sahii
jis jholii meN sau chhed hue us jholii ko phailaanaa kyaa

shab biitii, chaaNd bhii Duub gayaa, zanjiir paRii darvaaze meN
kyuN der gaye ghar aaye ho, sajnii se karoge bahaanaa kyaa

us husn ke sachche motii ko ham dekh sakeN, par chhuu na sakeN
jise dekh sakeN par chhuu na sakeN vo daulat kyaa vo Khazaanaa kyaa

us ko bhii jalaa dukhte hue man, ik sholaa laal bhabhuukaa ban
yuN aaNsuu ban beh jaanaa kyaa, yuN maaTii meN mil jaanaa kyaa

jab sha’hr ke log na rasta dekheN, kyuN ban meN na jaa bisraam kare'N
diivaanoN kii sii na baat kare, to aur kare diivaanaa kyaa



Want to Read More Poetry of Insha Click Here and Get More Ibn-e-Insha's Poetry

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho

"Ek Baar Kaho Tum Meri Ho"


Hum ghoom chuke basti ban main
ik aas ki phans leye man main
koi sajan ho, koi piyara ho
koi depak ho, koi tara ho
jab jewan raat undhairi ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho


jab sawan badal chaay hoon

jab phagan phool khilaay hoon
jab chanda roop lutata ho
jab soraj dhoop nahata ho
ya shaam nay basti ghairi ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho


haan dill ka daman phaila hay

kyu gori ka dill maila hay
hum kab tak peet k dhoke main
tum kab tak door jharoke main
kab deed sey dill ko sairi ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho


kiya jhagra sood khasare ka

ye kaaj nahi banjaare ka
sab sona roopa lay jaay
sab duniya, duniya lay jaay
tum aik mujhe bohteri ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho


By Ibn-e-Insha



Insha G Utho Ab Kuch Karo, Is Shaher Main Jee Ko Lagana Kia


Classical Poetry from Ibn-e-Insha Poetry Collection



Click Here For More Designed Poetry
Add Image
 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory