Saaf Lafzoon Main Khud Ko Bewafa Nahi Kehta
Classical Words By Mohsin Naqvi
Click Here And Read More Classical Poetry of Mohsin Naqvi
Here Is a Platform of All Types of Classical Poetry,Urdu Poetry and Romantic Poetry of John Elia,Allama Iqbal,Faraz,Ghalib,Wasi Shah and Many More.
Woh Log The Qadmon Se Zameen Cheen Rahe Hain
Jo Log Meray Qad Kay Barabar Nahen Aatay
Ik Tum Kay Tymharay Liay Mai Bhe Meri Jaan Bhe
Ik Mai K Mujhay Tum Bhe Muyassar Nahen Aatay
Jiss Shaan Say Lotay Hain Ganwa Kay Dil-O-Jan Hum
Iss Taur Say To Haaray Huay Lashkar Nahen Aatay
Kohi To Khabar Lay Meray Dushman-E-Jan Ki
Kuch Din Say Meray Sehan Mai Pathar Nahen Aatay
Dil Bhe Kohe Aasaib Ki Nagri Hai Kay Mohsin
Jo Iss Say Nikal Jatay Hain Murr Kar Nahen Aatay..
"Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan"
By Mohsin Naqvi
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan
Jaisy Mahtab Ko Beant Samondar Chahy
Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Me Utry
Jaisy Khushbo Ko Hawa Rang Se Hat Kar Chahy
Jaisy Pathar K Kalaijy Se Kiran Phootti He
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Se Hina Mangty Hein
Jaisy Khabon Me Kheyalon Ki Kaman Tootti He
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein
Mera Her Khab Mere Sach Ki Gawahi De Ga
Wosat E Deed Ne Tujh Se Teri Khahish Ki He
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki He
Khahish E Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa
Noch Dali Hein Zamano Ki Naqabein Mein Ne
Teri Palkon Pe Otarti Hoi Sobhon K Liye
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Ne
Mein Ne Chaha K Tere Husan Ki Gulnar Fiza
Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehakti Jaey
Mein Ne Chaha K Mere Fun K Gulistan Ki Bahar
Teri Ankhon K Gulabon Se Mehakti Jaey
Tey To Ye Tha K Sajata Rahy Lafzon K Kanwal
Mere Khamosh Kheyalon Me Takalum Tera
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar
Meri Khahish K Jazeeron Me Tabasum Tera
Too Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran
Meri Bujhti Hoi Raton Ko Sehar Kar Na Saki
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Too Bhi
Chara E Zakham E Gham E Deeda E Tar Kar Na Saki
Tujh Ko Ehsas Hi Kab He K Kisi Dard Ka Dagh
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota He
Too K Seemab Tabiyat He Tujhy Keya Maloom
Mousam E Hijar Thehar Jaey To Keya Hota He
Tony Os Morr Pe Torra He Taluq K Jahan
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan
Ab Ye Aalam He K Ankhein Jo Khulein Gi Apni
Yad Aey Ga Teri Deed Ka Manzar Janan
Mujh Se Mangy Ga Tere Ohad E Mohabbat Ka Hisab
Tere Hijran Ka Dehakta Howa Mehshar Janan
You Mere Dil K Barabar Tera Ghum Aya He
Jaisy Sheeshy K Muqabil Koi Pathar Janan
Jaisy Mahtab Ko BeAnt Samondar Chahy
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan
"Aankhain Khuli Rahain Gi Toh Manzar Bih Ayengai"
by Mohsin Naqvi
Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai
Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai
Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai