Allama Iqbal Poetry: Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hu
Aata hay yaad mujh ko wo guzra hua zamana
Aata hay yaad mujh ko wo guzra hua zamana
Wo baagh ki baharain wo sab ka chehchahana
Azaadian kahan wo ab apnay ghonslay ki
Apni khushi se aana,apni khushi se jana
Lagti hay chot DIL per,aata hay yaad jis dam
Shabnam k aansuon per kallion ka muskurana
Wo pyarai pyari soorat,wo kaamni si moorat
Abaad jis k dam se tha mera aashiana
Aati nahi sadain us ki meray qafas main
Hoti meri rihai kaash meray bas main!
Kia badnaseeb hoon main ghar ko taras raha hoon
Saathi to hay watan main ,main qaid main para hoon
Aai bahaar,kallian phoolon ki hans rahi hain
Main iss andheray ghar main kismat ko ro raha hoon
Iss qaid ka ilaahi! dukhra kisay sunaon
Dar hay yahin qafas main main gham se na mar jaon
Jab se chaman chuta hay,ye haal ho gaya hay
Dil gham ko kha raha hay,DIL gham ko kha raha hay
Gana isay samajh ker khush hon na sunnay walay
Dukhtay huay DIL ki faryad pe sada hay
Azaad mujh ko ker day, O qaid kernay walay
Main bay zuban hoon qaidi,tu chor ker dua lay.
Read More Poetry of Allama Iqbal Click Here
Khuda Say Husan Nay Aik Roz Yeh Sawal Kia
By: Allama Iqbal
Khuda sai Husan nay eik roz yeh sawal kiya
Jahan main kiyon nah mujhay tu nay lazawal kiya
Mila jawab kai tasveer khana hai duniya
Sab-e-daraz-e-adm ka fasana hai duniya
Hovi hai rang-e-taghiyur sai jab namod iss ki
Wohi haseen hai haqeeqat hai zawal jis ki
Kahi qareeb tha yeh guftago qamar nay sun li
Falak pai aam hovi akhter saher nay sun li
Saher nay taray say sun ker sunnai shabnam ko
Falak ki baat batadi zameenh kai mahram ko
Bhar aye phool kai ansoo payam-e-shabnam say
Kali ka nana sa dil khon ho gaya ghum say
Chaman say rota hova mausam-e-bahar gaya
Shabab sair ko aya tha sogawar gaya
Classical Poetry of Allama Iqbal
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun
Sir Muhammad Iqbal was a Persian and Urdu Language Poet and Iqbal's poetic works is superb i have compiled some classical and sentimental poetry from his fabulous poetry collection, below is some fine words of Allama Iqbal Poetry.
Tere ishq ki intaha chahta hun
meri sadgi dekh kya chahta hun
sitam ho k ho wada-e-behijabi
koi bat sabr-azma chahta hun
ye jannat mubarak rahe zahidon ko
k main ap ka samna chahta hun
koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun
Utho Meri Dunya K Garibon Ko Jaga Do
Classical Poetry by Allama Iqbal
Utho meri dunya k garibon ko jaga do
khak-e-umra k dar-o-diwar hila do
garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do
sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do
jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do
kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do
main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do
Click Here If U Want to Read More Allama Iqbal's Poetry
Sach Kah Dun Ai Brahman Gar Tu Bura Na Mane
Sach kah dun ai brahman gar tu bura na mane
tere sanam kadon k but ho gaye purane
apnon se bair rakhna tu ne buton se sikha
jang-o-jadal sikhaya waiz ko bhi Khuda ne
tang ake akhir main ne dair-o-haram ko chora
waiz ka waz chora, chore tere fasane
patthar ki muraton mein samjha hai tu Khuda hai
khak-e-watan ka mujh ko har zarra dewata hai
a gairat k parde ik bar phir utha dein
bichron ko phir mila dein naqsh-e-dui mita den
suni pari hui hai muddat se dil ki basti
a ik naya shiwala is des mein bana den
dunya k tirathon se uncha ho apna tirath
daman-e-asman se is ka kalas mila dein
har subah mil k gayen mantar wo mihe mihe
sare pujariyon ko mai pit ki pila dein
dharti k basiyon ki mukti prit mein hai
Urdu Poetry By Allama Iqbal
Sakhtiyan Karta Hun Dil Par Gair Se Gafil Hun Main
"Sakhtiyan Karta Hun Dil Par Gair Se Gafil Hun Main"
By Allama Iqbal
Sakhtiyan karta hun dil par gair se gafil hun main
hay kya achi kahi zalim hun main jahil hun main
hai meri zillat hi kuch meri sharafat ki dalil
jis ki gaflat ko malak rote hain wo gafil hun main
bazm-e-hasti apni araish pe tu nazan na ho
tu to ik taswir hai mahfil ki aur mahfil hun main
ap hi goya musafir ap hi manzil hun main
Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-Makam Se Guzar
Tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar
misr-o-hijaz se guzar, paires-o-sham se guzar
jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai
hur-o-khayam se guzar, bada-o-jam se guzar
garche hai dilkusha bahot husn-e-firang ki bahar
tayarek buland bal dana-o-dam se guzar
koh shigaf teri zarab tujhse kushad sharq-o-garab
teze-hilahal ki tarah aish-o-nayam se guzar
aise imam sy mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan e guzar
Click Here For More Allama Ibqal's Poetry
Nahin minnat-kash-e-tab-e-shanidan dastan meri
Classical Poetry of Allama Iqbal
Nahin minnat-kash-e-tab-e-shanidan dastan meri
khamoshi guftagu hai, bezubani hai zaban meri
ye dastur-e-zaban-bandi hai kaisi teri mahfil mein
yahan to bat karne ko tarasti hai zaban meri
uthaye kuch waraq lala ne kuch nargis ne kuch gul ne
chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri
ura li kumariyon ne tutiyon ne andlibon ne
chaman walon ne mil kar lut li tarz-e-fugan meri
tapak ai shama ansu ban k parwane ki ankhon se
sarapa dard hun hasrat bhari hai dastan meri
hayat-e-jawidan meri na marg-e-nagahan meri
Mumkin Hai Ke Tu Jisako Samajhata Hai Baharan
Mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan
auron ki nigahon mein wo mausam ho khizan ka
hai sil-sila ehwal ka har lahja dagargun
ae salek-rah fikr na kar sudo-zayan ka
tu jisko samajhta hai falak apne jahan ka
Click Here For More These Types of Poetry
Mohabbat Ka Junun Baqi Nahin Hai
"Muhabbat Ka Junun Baqi Nahi Hai"
By Great Poet Allama Iqbal
Mohabbat ka junun baqi nahin hai
musalmanon mein khun baqi nahin hai
safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
k jazba-e-andrun baqi nahin hai
ragon mein lahu baqi nahin hai
wo dil, wo awaz baqi nahin hai
Lab Pe Ati Hai Dua Ban K Tamnna Meri
"Lab Pe Ati Hai Dua Ban K Tamnna Meri"
By Allama Iqbal
Lab pe ati hai dua ban k tamnna meri
zindagi shamma ki surat ho Khudaya meri
dur duniya ka mere dam andhera no jaye
har jagah mere chamakne se ujala ho jaye
ho mere dam se yun hi mere watan ki zinat
jis tarah phul se hoti hai chaman ki zinat
zindagi ho meri parwane ki surat ya rab
ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab
ho mera kam garibon ki himayat karna
dard-mandon se zaifon se mohabbat karna
mere Allah burai se bachana mujhko
neik jo rah ho us rah pe chalana mujhko
Khird K Pas Khabar K Siwa Kuch Aur Nahin
Khird k pas khabar k siwa kuch aur nahin
tera ilaj nazar k siwa kuch aur nahin
har muqam se age muqam hai tera
hayat zauq-e-safar k siwa kuch aur nahin
rangon mein gardish-e-khun hai agar to kya hasil
hayat soz-e-jigar k siwa kuch aur nahin
urus-e-lala munasib nahin hai mujhse hijab
k main nasim-e-sahar k siwa kuch aur nahin
jise qasad samajhte hain tajran-e-firang
wo shay mata-e-hunar k siwa kcuh aur nahin
gauhar mein ab-e-gauhar k siwa kuch aur nahin
Urdu Poetry of Allama Iqbal Click Here For More Poetry Stuff of Great Allama Iqbal
kabhi Ai Haqiqat-e-Muntazir Nazar A Libas-e-Majaz Mein
Kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein
k hazaron sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein
tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho
wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein
tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina
k shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein
dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein
na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-nawaz mein
na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein
jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se ane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein
Click Here and Read More These Types of Poetry of Allama Iqbal
Jinhen Main Dhundhta Tha Asmanon Mein Zaminon Mein
Jinhen Main Dhundhta Tha Asmanon Main Zaminon Main
By Allama Iqbal
Jinhen main dhundhta tha asmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-e-khana-e-dil k makinon mein
mahine wasl k ghariyon ki surat urte jate hain
magar ghariyan judai ki guzarti hai mahinon mein
mujhe rokega tu ai nakhuda kya garq hone se
k jin ko dubna hai dub jate hain safinon mein
jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki
ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil k sinon mein
tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin milta ye gauhar badshahon k khazinon mein
muhabbat k liye dil dhundh koi tutnewala
ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk abginon mein
bura samajhun unhen mujh se to aisa ho nahin sakta
k main khud bhi to hun "Iqbal" apne nuktachinon mein
Ham Mashriq K Musalmanon Ka Dil Magrib Mein Ja Atka hai
Ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai
wahan kuntar sab billori hai, yahan ek purana matka hai
is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega
jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai
ae shaikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-basirat kahte hain
gardon ne kitani bulandi se un qaumon ko de patka hai
Gulzar-e-Hast-o-Bu Na Beganawar Dekh
"Gulzar-e-Hast-o-Bu Na Beganawar Dekh"
By Allama Iqbal
Gulzar-e-hast-o-bu na beganawar dekh
hai dekhne ki chiz ise bar bar dekh
aya hai to jahan mein misal-e-sharar dekh
dam de najaye hasti-e-napayedar dekh
mana k teri did k qabil nahin hun main
tu mera shauq dekh mera intzar dekh
har rahguzar mein naqsh-e-kaf-e-pay-e-yar dekh
Ajab waiz ki din-dari hai ya rab
Ajab waiz ki din-dari hai ya rab
adawat hai ise sare jahan se
koi ab tak na ye samjha k insan
kahan jata hai ata hai kahan se
wahin se rat ko zulmat mili hai
chamak taron ne pai hai jahan se
ham apni dard-mandi ka fasana
suna karte hain apne razdan se
Classical Poetry of Allama Iqbal