Aarz-e-niyaz-e-ishq k qabil nahi raha
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha

jata hun dag-e-hasrat-e-hasti liye hue
hun shamma-e-kushta darkhur-e-mahfil nahi raha

marne ki ai dil aur hi tadbir kar k main
shayan-e-dast-o-bazu-e-qatil nahi raha

ba-ru-e-shash jihat dar-e-ainabaz hai
yan imtiaz-e-nakis-o-qamil nahi rahaa

wa kar diye hain shauq ne band-e-naqab-e-husn
gair az nigah ab koi hail nahi raha

go main raha rahin-e-sitam haye rozgar
lekin tere khayal se gafil nahi raha

dil se hawa-e-kisht-e-wafa mit k wan
hasil siwaye hasrat-e-hasil nahi raha

bedad-e-ishq se nahi darta magar 'Ghalib'
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi

By Mirza Ghalib

Click Here To Read More

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory