Dil-e-Nadan Tujhe Hua Kya Hai

"Dil-e-Nadan Tujhe Hua Kya Hai"

By Mirza Ghalib

Dil-e-nadan tujhe hua kya hai
akhir is dard ki dawa kya hai

ham hain mushtaq aur wo bezar
ya ilahi ye majara kya hai

main bhi munh mein zaban rakhta hun
kash pucho k mudda kya hai

jab k tujh bin nahi koi maujud
phir ye hangama, ai Khuda kya hai

ye pari chehra log kaise hain
gamaza-o-ishwa-o-ada kya hai

shikan-e-zulf-e-ambari kyon hai
nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai

sabza-o-gul kahan se aye hain
abr kya chiz hai hawa kya hai

hamko unse wafa ki hai ummid
jo nahi jante wafa kya hai

han bhala kar tera bhala hoga
aur darwesh ki sada kya hai

jan tum par nisar karta hun
main nahi janta dua kya hai

main ne mana k kuch nahi 'Ghalib'
muft hath aye to bura kya hai


Click Here And Read More These Types of Poetry By Mirza Ghalib

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory