Meri zat zara-e-by nishan

Meri zat zara-e-by nishan
main wo kis tarha sey karun bayan

jo kiye gaye hain sitama yahan
sunay kon meri ye dastan

koi hum nasheen hay na raz daan
jo tha jhoot wo bana sach yahan

nhi kholi main ney magar zuban
ye akela pan ye udasiyan,

meri zindagi ki hain tarjuman
meri zat zara-e- by nishan

main bataon mujhe kia milay
mujhe sabar hi ka sila milay

kis ghum ki dil main jaga milay
jo mera hay wo aa milay

rahay shad yunhi mera jahan
k yaqeen main badlay mara guman

meri zat zara-e- by nishan
main wo kis tarha sey karun bayanClick Here For More Classical Poetry

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory