Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan
Jaisy Mahtab Ko Beant Samondar Chahy
Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Me Utry
Jaisy Khushbo Ko Hawa Rang Se Hat Kar Chahy

Jaisy Pathar K Kalaijy Se Kiran Phootti He
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Se Hina Mangty Hein
Jaisy Khabon Me Kheyalon Ki Kaman Tootti He
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein

Mera Her Khab Mere Sach Ki Gawahi De Ga
Wosat E Deed Ne Tujh Se Teri Khahish Ki He
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki He

Khahish E Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa
Noch Dali Hein Zamano Ki Naqabein Mein Ne
Teri Palkon Pe Otarti Hoi Sobhon K Liye
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Ne

Mein Ne Chaha K Tere Husan Ki Gulnar Fiza
Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehakti Jaey
Mein Ne Chaha K Mere Fun K Gulistan Ki Bahar
Teri Ankhon K Gulabon Se Mehakti Jaey

Tey To Ye Tha K Sajata Rahy Lafzon K Kanwal
Mere Khamosh Kheyalon Me Takalum Tera
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar
Meri Khahish K Jazeeron Me Tabasum Tera

Too Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran
Meri Bujhti Hoi Raton Ko Sehar Kar Na Saki
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Too Bhi
Chara E Zakham E Gham E Deeda E Tar Kar Na Saki

Tujh Ko Ehsas Hi Kab He K Kisi Dard Ka Dagh
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota He
Too K Seemab Tabiyat He Tujhy Keya Maloom
Mousam E Hijar Thehar Jaey To Keya Hota He

Tony Os Morr Pe Torra He Taluq K Jahan
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan
Ab Ye Aalam He K Ankhein Jo Khulein Gi Apni
Yad Aey Ga Teri Deed Ka Manzar Janan
Mujh Se Mangy Ga Tere Ohad E Mohabbat Ka Hisab
Tere Hijran Ka Dehakta Howa Mehshar Janan
You Mere Dil K Barabar Tera Ghum Aya He
Jaisy Sheeshy K Muqabil Koi Pathar Janan

Jaisy Mahtab Ko BeAnt Samondar Chahy
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan


Click here for more classical poetry stuff

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory