Ajnabi ho kay bhi apna sa laga tha ik shakhs,
wo jo aankho'n k nazaro'n mai mila tha ik shakhs,

nik hat e jaa'n liye lafzo'n main basa tha ik shakhs,
apni aawaz main khud gounj raha tha ik shakhs,

us ki pehchan, khad o khal na thay, lehja tha,
apnay alfaz ki tasweer bana tha ik shakhs,

dil pe qabiz hii raha wo mera anjana sanam
garchai nazro'n se boht door raha tha ik shakhs,

aik lamhay ki "shanasai mai kia ho guzra
zindagi bhar kay liye maira bana tha ik shakhs,

main nay awaz se ik shakl tarashi jaana'n,
aur dekha meri tasweer e wafa tha ik shakhs...

Read More Classical Poetry Stuff

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory