Abhi is taraf na nigah kar, main gazal ki palken sanwar loon,
mera lafz lafz ho aaina, tujhe aaine main utaar loon,
main tamam din ka thaka hua, tu tamam shab ki jagi hui,
zara thahar ja isi mor par, tere saath shaam guzar loon,
agar asman ki numaishon main , mujhe bhi azn-e-qayam ho,
to main motiyon ki dukan se, teri balian tere haar loon,
kai ajnabi teri raah main, mere pass se yoon guzar gye,
jinhen dekh kar ye tarap hui, tera naam le kar pukar loon
Read More Classical Poetry
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment