Jinhen Main Dhundhta Tha Asmanon Main Zaminon Main
By Allama Iqbal
Jinhen main dhundhta tha asmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-e-khana-e-dil k makinon mein
mahine wasl k ghariyon ki surat urte jate hain
magar ghariyan judai ki guzarti hai mahinon mein
mujhe rokega tu ai nakhuda kya garq hone se
k jin ko dubna hai dub jate hain safinon mein
jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki
ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil k sinon mein
tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin milta ye gauhar badshahon k khazinon mein
muhabbat k liye dil dhundh koi tutnewala
ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk abginon mein
bura samajhun unhen mujh se to aisa ho nahin sakta
k main khud bhi to hun "Iqbal" apne nuktachinon mein
0 comments:
Post a Comment