Ab Bhi Ajaoo

Wahi Hisaab-E-Tamanna Hai, Ab Bhi Aajao
Wahi Hai Sar Wahi Sauda Hai, Ab Bhi Aajao

Jisay Gaye Huye Khud Se Ab Ik Zamaana Hua
Wo Ab Bhi Tum Main BhaTakta Hai, Ab Bhi Aajao

Wo Dil Se Haar Gaya Hai Par Apni Daanish Main
Wo Shakhs Ab Bhi Yagaana Hai, Ab Bhi Aajao

Main Khud Nahi HooN Koi Aur Hai Miray Andar
Jo Tum Ko Ab Bhi Tarasta Hai, Ab Bhi Aajao

Main YaaN Se Jaanay Hi Waala HooN Ab, Magar Ab Tak
Wahi Hai Ghar Wahi Hujra Hai, Ab Bhi Aajao

Wahi Kasha-Kash-E-Ehsaas Hai Ba Har LamHaa
Wahi Hai Dil, Wahi Duniya Hai, Ab Bhi Aajao

TumheN Thha Naaz Buhat Jis Ki Naam-Daari Par
Wo Saaray Shehar Main Ruswaa Hai, Ab Bhi Aajao

YahaN Se Saath Hi KhuwaaboN K Shehar JayeNgay
Wohi JunooN, Wohi SeHra Hai, Ab Bhi Aajao

Miri Sharaab Ka Shohra Hai Ab Zamaanay Main
So Yeh Karam Hai To Kis Ka Hai, Ab Bhi Aajao

Yeh T^aur ! Jaan Jo Hai Meri Bad-Sharaabi Ka
Mujhay Bhala Nahi Lagta Hai, Ab Bhi Aajao

Kisi Se Koi Bhi Shikwa Nahi Magar Tum Se
Abhi Talak Mujhay Shikwa Hai, Ab Bhi Aajao

Wo Dil K Ab Hai Lahoo Thookna Hunar Jis Ka
Wo Kum Se Kum Abhi Zinda Hai, Ab Bhi Aajao

Na-Jaanay Kiya Hai K Ab Tak Mira Khud Apnay Se
Wahi Jo Thha, Wahi Rishta Hai, Ab Bhi Aajao

Wujood Aik Tamaasha Thha Hum Jo Dekhtay Thhay
Wo Ab Bhi Aik Tamaasha Hai, Ab Bhi Aajao

Abhi Sadaa-E-Jaras Ka Nahi Hua Aaghaaz
Gubaar Abhi Nahi uTTha Hai, Ab Bhi Aajao

Hai Meray Dil Ki Guzaarish K Mujh Ko Mut ChhoRo
Yeh Meri JaaN Ka Taqaaza Hai, Ab Bhi Aajao

Kabhi Jo Hum Nai BaRay Maan Se Basaaya Thha
Wo Ghar UjaRnay Hi Waala Hai, Ab Bhi Aajao

Wo John~ Kon Hai, Jaanay Jo Kuch Nahi Sunta
Hai Jaanay Kon Jo Kehta Hai, Ab Bhi Aajao..

By John Elia


Want To Read More Poetry of John Elia Click Here

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory