"Tum Mera Dukh Baant Rahi ho Main Khud Say Sharminda Hun"
By John Elia
Tum mera dukh baant rahi ho main khud se sharminda hun
apne jhute dukh se tumko kab tak dukh pohonchaunga
Tum to Wafa mein sargardaan ho, shouqe mein raqsaan rehti ho
mujhko zavaal-e-shouqe ka gham hai, main pagal ho jaaunga
Jeet ke mujhko khush mat hona, main to ik pachhtawa hun
khounga, kuRhta hi rahunga, paaunga, pchhtaunga
Ehd-e-Rafaqat thik hai lekin, mujhko aisa lagta hai
Tum to mere saath rahogi, main tanha reh jaaunga
Shaam ko aksar bethay bethay, dil kuch dubne lagta hai
tum mujhko itna mat chaho, main shayad mar jaaunga
Ishq kisi manzil mein aa kar, itna bhi befikr na ho
ab bistar par letunga main, lettay hi so jaaunga
Read More John Elia Poetry Click Here

0 comments:
Post a Comment