"Humesha Muskura Kay Aansooun Ko Chupaya"
Humesha Muskura Kay Aansooun Ko Chupaya
Ghum Ko Chupanay Ka Yehi Rasta Nazar Aaya
Kis Kis Ko Batatey Behtey Ashkon Ka Sabab
Kay Derd-E-Dil Dil Main Kis Nay Jagaya
Mehfilon Main Kahin Bhi Maza Na Raha
Rakha Dil Pay Pather To Khud Ko Sajaya
Baat Bay Baat Apni Aahain Daba Ker
Yaron Kay Dermiyan Kis Qadar Muskuraya
Na Thi Chah Kabhi Mujahy Mankashi Ki
Jaam-E-Wafa Kisi Bay Wafa Nay Pilaya
Kya Muqadar Say Shikwa Kertey Rahain
Jo Qismat Main Tha Wohi Kuch To Paaya
Yeh Kis Mor Pay Aagaee Hain Umeedain
Kay Saaya-E-Manzil Nazar Main Na Aaya
Apnoon Nay Palat Kay Daykha Tak Nahin
Ghairon Nay Aaker Galay Say Lagaaya
Acha Hua Kay Raaz Khul Hi Gaya
Dil-E-Nadaan Pay Khanjar Kis Nay Chalaya
Shab-O-Roz Chahat Sila Yeh Hay Shaiki
Dil Kay Tukrey Huay Wo Chunney Na Aaya
2 comments:
It is very difficult for the readers to understand Urdu words in English words and other other hand poetry charm ends for the readers. How to write Urdu in Nori Nastaliq visit my blog.
http:/urdupoetryforum.blogspot.com.
http:/englishpoetryforum.blogspot.com
jh sayyar
thanks
jiyaurdupoetry.blogspot.com
Post a Comment