Har Haqeeqat Majaaz Ho Jaaye

Har haqeeqat majaaz ho jaaye
Kaafiron ki namaaz ho jaaye

Minnat-e-chaara'saaz kaun kare
Dard jab jaan nawaaz ho jaaye

Ishq dil ma rahe to ruswa ho
Lab pe aaye to raaz ho jaaye

Lutf ka intezaar karta hoon
Jor taa hadd-e-naaz ho jaaye

Um'r be'sood kat rahi hai Faiz
Kaash afshaa-e-raaz ho jaaye

By Faiz Ahmed Faiz

1 comments:

Alifseye.com said...

Thanks a lot for sharing such a nice post. You are working on Urdu shayari which has a great impact not only in subcontinent but across the world as well and Faiz Ahmed Faiz Poetry is one of the tools to promote Urdu.

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory