"Safha-E-Waqt Pe Likhi Tehreer Badal Jati Hai"



Safha-E-Waqt Pe Likhi Tehreer Badal Jati Hai

Ayat-E-Hijr Ki Har Tafseer Badal Jati Hai

Esa Ik Waqt Bhe Aata Hai Meri Neend Pay Jab
Khawab Say Pehlay He Tabeer Badal Jati Hai

Ab To Har Lamha Mera Qaid Mai Kat Jata Hai
Farq Sirf Itna Hai K Zanjeer Badal Jati Hai

Waqt Har Bat Ko Mehfooz Kar Leta Hai
Han Magar Baat Ki Taaseer Badal Jati Hai

Padta Rehta Hun Mai Hathon Ki Lakiron Ko Yun Bhi
Main Yeh Sunta Tha K Taqdeer Badal Jati Hai...


Classical Poetry Click Here For More These Types of Urdu Poetry

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory