"Shab-E-Tanhai Mein Sitaron Ka Libada Orrhey"

Shab-E-Tanhai Mein Sitaron Ka Libada Orrhey

Teri Yaadon Ke Jugnoo Say Chamakney Lagtey Hain
Aur Dil Pay Cha Jata Hai Khud Fareibi Ka Aisa Aalam
Ke Har Taraf Teri Hi Aamad Ka Samaan Hota Hai
Jaisey Kisi Aawaaz Ke Dhokey Mein Koi Murr Kar Daikhey
Jaisey Sehra Mein Sarabon Ka Gumaan Hota Hai

Shab-E-Tanhai Mein Dil Ke Nehaan Khanon Par
Guzrey Lamhon Ki Shabnam Si Parrney Lagti Hai
Aur Mairey Hawaas Pay Tu Ho Jaati Hai Qaabiz Aisey
Ke Nazar Be-sakhta Nekalti Hai Justajuu Mein Teri
Jaisey Chand Kisi Ko Dhoondney Ke Liye Nikalta Hai
Jaisey Koi Bacha Kisi Khiloney Ke Liye Machalta Hai

Shab-E-Tanhai Mein Be-chainiyon Ke Aalam Mei
Dil Apney Aap Say Hi Baar Baar Ulajhta Hai
Aur Aziatein Iss Tarah Ho Jaati Hain Gaalib Mujh Par
Ke Dard Ka Toofaan Har Rag Meib Dorr Jata Hai
Jaisey Mojein Saahilon Ki Haddein Torr Deti Hain
Jasey Dharrkanein Dilon Ka Saath Chorr Deti HaiN

Shab-E-Tatnhai Mein Aadat Teri Khushboo-on Ki
Dil-E-Nakaam Ko Kuch Aur Sataney Lagti Hain
Tab Dhoodney Lagta Hoon Main Har Soo Aanchal Tera
Aur Be-qaraari Mein Yoon Rahat Si Milney Lagti Hai
Jaisey Koi Muflis Zar Ke Khuwab Say Behal Jata Hai
Jaisey Koi Marney Say Pehley Zara Dair Ko Sambhal Jata Hai

Shab-E-Tanhai Mein Mosam Teri Rafaqat Ke
Gup Andhairon Mei Ujaley Say Bakhair Detey Hain
Gham-E-Firaaq Ki Chadar Ko Cheer Detey Hain
Aur Dil Ikk Lamhey Ko Ho Jata Hai Shadab Aisey
Jaisey Chaand Ka Aks Kisi Jheel Mein Utar Jata Hai
Jaisey Koi Sookha Pair Sabz Paton Say Bhar Jata Hai

Shab-E-Tanhai Mein Mehak Terey Khayalon Ki
Mairey Tasawur Ka Tawaaf Sa Karney Lagti Hai
Tab Phir Say Khilti Hain Umangon Ki Laakhon Kaliyan
Aur Fasl-E-Gul Ki Ye Aamad Aisey Lagti Hai
Jaisey Kisi Dil-ruba Ki Aankh Mein Iqraar Ka Zahoor



Click Here And Read More These Type of Urdu Ghazals
 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory