Dekh to dil ki jaan se uthta hai
ye dhuaa'n sa kahaa'n se uthta hai
gor kis dil-jale ki hai ye falak
shola ek subah yaa'n se uthta hai
khaana-e-dil se zinhaar na jaa
koi aise makaa'n se uthta hai
naala sar khenchta hai jab mera
shor ek aasmaa'n se uthta hai
ladti hai uss ki chashm-e-shokh jahaa'n
ek aashob waa'n se uthta hai
sudh le ghar ki bhi shola-e-aawaaz
dood kuch aashiyaa'n se uthta hai
baithne kaun de hai phir uss ko
jo tere aastaa'n se uthta hai
yoon uthe aah uss gali se hum
jaise koi jahaa'n se uthta hai
ishq ek 'Meer' bhaari paththar hai
bojh kab naatavaa'n se uthta hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment