Ye zehmat bhi to rafta rafta rehmat ho hi jati hai
Musalsal gham se gham sehnay ki aadat ho hi jati hai
Maseeha ho agar tum sa to zaroorat kya hai marham ki
K kanton se bhi zakhmon ki jarahat ho hi jaati hai
Taluk jin se ho gila un par aaya hi karta hai
Mohabbat jin se ho un se shikayat ho hi jaati hai
Ye zaroori to nahi k suraj sawa nezay per aa jaye
Badal jaye jab koi apna to qayamat ho hi jati hai...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment