Ghar jab bana liya hai tere dar par kahe bagair
janega ab bhi tu na mera ghar kahe bagair

kahte hain, jab rahi na mujhe taqat-e-sukhan
janun kisi k dil ki main kyunkar kahe bagair

kam us se a para hai k jisaka jahan mein
lewe na koi nam sitamagar kahe bagair

ji mein hi kuch nahi hai hamare wagarna ham
sar jaye ya rahe na rahen par kahe bagair

chorunga main na us but-e-kafir ka pujana
chore na khalq go mujhe kafir kahe bagair

maqsad hai naz-o-gamza wale guftagu mein kam
chalta nahi hai, dashna-o-khanjar kahe bagair

har chand ho mushahida-e-haq ki guftagu
banti nahi hai bada-o-sagar kahe bagair

bahra hun main to chahiye duna ho iltfat
sunta nahi hun bat muqarrar kahe bagair

"Ghalib" na kar huzur mein tu bar-bar arz
zahir hai tera hal sab un par kahe bagair


Click Here for more poetry of Mirza Ghalib

0 comments:

Post a Comment

 
Cultu UR Technologie Directory Shane English WEB Directory