Mushkil hai ab shahar main nikle koi ghar se
dastar pe bat a gai hai hoti hui sar se
barsa bhi to kis dasht k be-faiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarse
is bar jo indhan k liye kat k gira hai
chiriyon ko bara pyar tha us burhe shajar se
mehnat meri andhi se to mansub nahin thi
rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se
khud apne se milne ka to yara na tha mujh main
main bhir main gum ho gai tanhai k dar se
benam musafat hi muqaddar hai to kya gam
manzil ka ta'yyun kabhi hota hai safar se
pattharaya hai dil yun k koi ism parha jaye
ye shahar nikalta nahin jadu k asar se
0 comments:
Post a Comment